Friday, January 3, 2020

Black Hair Beauty Tips in Urdu



Waqt aur umar ke hisab se baal safed hona aam hai magar waqt se pehlay balon ki safedi nojawan nasal mein pareshani ka baais hai. Waqt se pehlay balon ke safaid honay ki kayi vjohat ho sakti hain jin mein se chand aik mandarja zail hain.



#1  Balon ke safaid honay ki sab se ahem wajah jism mein balon ke rang bananay walay Pigment Melanin ka nah ban-na ya kam miqdaar mein ban-na ho sakta hai.




#2  Balon ke safaid honay ki wajah pedaishi ya khandani bhi ho sakti hai. Misaal ke tor par agar aap ke dada ya waalid ko yeh bemari la-haq thi to aap ke baal bhi waqt se pehlay safaid ho satke hain.

#3  Har waqt pareshani, gussa, lambay arsay tak depression ya be cheeni aur deegar amraaz bhi balon ki safedi ka baais ban satke hain. uskay ilawa hyir colour ke istemaal se bhi baal safaid ho jatay hain.

Umar se pehlay balon ke safaid ho jane ki wajohaat mein deegar awamil maslan ghiza, adwiyaat ke manfi asraat aur deegar jismani kaifiyat waghera bhi shaamil ho sakti hain.